Answer :

“Swayam ko badlo duniya swatah badal jayegi” uparyukt shirshak shat pratishat satya aur sarthak hai. Yadi hum duniya badalne ka madda rakhte hain toh shuruwat humein khud apne aap se karni chahiye. Hum khud ko badalkar duniya ko apne anusar badalne ki koshish kar sakte hain.
Duniya waise logon ki hi kadra karti hai jo khud is yogya hote hain ki unka anusharan kiya ja sake jaise Meel ka Pathar hazaron logon ko disha ka gyan karata hai aur rashta batata hai. Sadiyon se log waise logon ka hi anugaman karte aayee hai, jisne apne gyan koushal aur tez se duniya ko apne aage nat-mashtak karaya hai. 
Itihas sakshi hai ki un maha yogiyon aur samraton ko duniya maanti aayee hai jinhone apne gyan, pratibha aur koushal ka loha pure duniya mein manwaya hai. 

Other Questions