Answer :

Priya Dost  Manpreet ,

 

Kaise ho ? tumhe aur tumhaari team ko Interstate Lohari Dance pratiyogita jeetne par bahut  sari badhaayiaa .Tumr bhi ye jaan kar bahut achha lagega ki maine yaha rajasthan  mai Makar sakranti dhoom dhaam se manayi . Hua aise ki Mousa ji aur unka pariwaar Tamilnaadu se pahli baar  aa raha tha 10 saalo baad humaare saath tyohaar manae . muje Maa ne bol aki unko sahar jaake lana hai kyuki sahar  se humaare gaon aane mai 5 ghnate laagte hai . Sahar ke railway staion se gaon tak ki  raod thik nhi thi aur bus bhi kam aati jaati hai . issl iye mai gaadi lekar unko  lene  gya. Waha ja ke pata chala ki rail 8 ghante vilambh se chal rahi hai .Main Sahar pahuch gya tha . ab wapas jaa kar bhi kya krta . kuch soch raha tha ki mere mahavidhyalay ke dost Arjun ka phon aagya . Makar sakranti ki badhaayi dene hetu . Jab uko pata chal gya ki main sahar aaya hu to usne muje jabran ghar  aane ko bola .Muje bhi laga jaana chahaiye , sayad tab tak rail bhi aa jayegi.

Jab dost ke ghar pahucha to sab log Makar Sakranti mana rhe the . Muje bhi unhone jaldi s eapne saath saamil kr liya . Ukha Choota bhai Patang udaa raha tha . Chaat par Sangeet baj  raha tah . Unki Mummy bhaut hi sawadist Til – Gud ke laddu banaye the aur Badi  Didi ne chai aur samos ebanaye . Bahur lajawab khana tha . Phir sabne bahut nirtya kiya aur khoob masti ki .Patangbaazi ke baut se dour chalne . Maine 5 patang kaati . Rohit , Aurjun ka chhota bhai bahut khush hua . Usne 3 patang bhi looti .

Saam ho chuki thi , tabhi Mousaa ji ka phone aaya ki rail 1 ghante mai Jodhpur railway station pahuchne wali hai . Main bhi Arjun ki mummy ke pair chhu kar railway station ki aur nikal gya .Maine Arjun ki bahan ko 100 rupaye bhi diye Aashirwaad savroop .Bahut yaadgaar Makar Shakranti rahi . Man bahut harshit tha . Maine Arjun ko gaon aane heti aamtrit kiya .

 

Muje ummeed hai ki tum bhi Holi par gaon jarur aaoge . Ghar aana milne ko .

 

Tumhaare ujaawal bhavishya  aur sawasth jeevan ki kaamnao ke saath .

 

Tumhara  Mitra

Jaspreet 

How to write a letter to friend how I celebrated Sankranti


Other Questions